New dunyawi shayiri...

Thursday 14 May 2015

Zindagi yeh zinda hai  ya maut us ki mar gai
marna jis ko tha akhir,zindagi us ki amar gai


khush hui ya gamgeen hooi hameein kya khabar
maut ki khabar gai ke zindagi ki aankh bhar gai

maut aaee muj shikasta ka fasana bhi suna
gai to sainkron qaatil ki aankhein bhi tar gai


zindagi ke saamne maut a khari hooi
haa e shokhiye zindagi ke wo maut se akar gai



mein bhi na samajh saka ke maut hai kya akhir
saari  zindagi meri maut ki muntazir gai




muddat guzaar di zindagi toone kya kiya
maut ik lamhe mein sab kaam kar gayee

 

 

 

 

 

One more ghazal

rizq be ja mile hai, ye us ki ziyafat to nahi,
ye us ka karam hai ya meri karamat to nahi.
mein khush qismat samjhoon ke teri aamad ho,
mein tera maizbaan hoon ye teri sa-adat to nahi..

No comments:

Post a Comment

 

SearchPost

Most Reading